dil-e-naadaan tujhe hua kya hai
aakhir is ki dava kya hai
ham hain mushtaaq aur wo bezaar
ya ilaahi ye maajra kya hai
main bhi munh mein rakhta hoon
kaash poochho ki muddaa kya hai
jab ki tujh bin nahin koi maujood
phir ye hangaama ai khuda kya hai
ham ko un se vafa ki hai ummeed
jo nahin jaante vafa kya hai
hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle
dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
aakhir is dard ki dawa kya hai
ishq ne ghalib nikamma kar diya
warna hum bhi aadmi the kaam ke
ye na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahi intezaar hota
koi ummeed bar nahi aati
koi surat nazar nahi aati
hain aur bhi duniya mein sukhanwar bahut achche
kehte hain ke ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur