tere ki intahaa chaahta hoon
meri saadgi dekh kya chaahta hoon
sitam ho ke ho wa'da-e-be-hijaabi
koi baat -aazma chaahta hoon
ye jannat mubaarak rahe zaahidon ko
ke main aap ka saamna chaahta hoon
zara saa to dil hoon magar shokh itna
wohi lan-tarani sunaa chaahta hoon
koi dam ka mehmaan hoon ai ahl-e-mehfil
charaagh-e-sahar hoon bujha chaahta hoon
khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
khuda bande se khud puchhe bata teri raza kya hai
sitaron se aage jahaan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain
tu shaaheen hai parwaaz hai kaam tera
tere saamne aasmaan aur bhi hain
khol aankh zameen dekh falak dekh fazaa dekh
mashriq se ubharte hue suraj ko zara dekh
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shaaheen hai basera kar pahaadon ki chattaanon mein
mohabbat mujhe un jawaanon se hai
sitaron pe jo daalte hain kamand