ulti ho gaeen sab tadbeeren kuchh na dawa ne kaam kiya
dekha is beemaari-e- ne aakhir kaam tamaam kiya
ahd-e-jawaani ro ro kaata peeri mein leen aankhen moond
yaani bahut the jaage subah hui aaraam kiya
harf nahin jaan-bakhshi mein us ki khoobi apni qismat ki
ham se jo pahle kah bhejaa so marne ka paighaam kiya
naahaq ham majbooron par yeh tohmat hai mukhtaari ki
chaahte hain so aap karein hain ham ko abas badnaam kiya
sarzad ham se be-adabi to wahshat mein bhi kam hi hui
koson us ki or gaye par sajda har har gaam kiya
patta patta boota boota haal hamaara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai
dikhaayi diye yun ke bekhud kiya
hamein aap se bhi juda kar chale
ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
mir un neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab ki si hai
naazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhuri ik gulaab ki si hai
baare duniya mein raho gham-zada ya shaad raho
aisa kuchh kar ke chalo yaan ke bahut yaad raho