faqeeraana aaye sadaa kar chale
miyaan khush raho ham duaa kar chale
jo tujh bin na jeene ko kahte the ham
so is ahd ko ab wafaa kar chale
koi naa-umeedaana karte
so tum ham se munh bhi chhipaa kar chale
bahut aarzoo thi gali ki teri
so yaan se lahoo mein nahaa kar chale
kahein kya jo poochhe koi ham se Mir
jahaan mein tum aaye the kya kar chale
patta patta boota boota haal hamaara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai
dikhaayi diye yun ke bekhud kiya
hamein aap se bhi juda kar chale
ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
mir un neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab ki si hai
naazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhuri ik gulaab ki si hai
baare duniya mein raho gham-zada ya shaad raho
aisa kuchh kar ke chalo yaan ke bahut yaad raho