dikhaai diye yoon ke be-khud kiya
hamein aap se bhi judaa kar chale
jabeen sajda karte hi karte gaee
haq-e-bandagi ham adaa kar chale
parastish ki yaan tak ke ai but tujhe
mein sabhon ki khudaa kar chale
jhameleon hain sab -o-wasl-o-firaaq
hamein aaj sab se rihaa kar chale
gaee umr dar-band-e-fikr-e-ghazal
so is fan ko aisa baraa kar chale
patta patta boota boota haal hamaara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai
dikhaayi diye yun ke bekhud kiya
hamein aap se bhi juda kar chale
ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
mir un neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab ki si hai
naazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhuri ik gulaab ki si hai
baare duniya mein raho gham-zada ya shaad raho
aisa kuchh kar ke chalo yaan ke bahut yaad raho