jag mein aa kar idhar udhar dekha
tu hi aaya jidhar dekha
raaz-e-hasti samajh sake na koi
har taraf jab bhar kar dekha
dil ki basti ujaad si dekhi
jab kabhi us taraf udhar dekha
umr saari guzar gayi yun hi
na kabhi apne ghar ka dar dekha
dard-e-dil le ke aa gaya hoon main
jis taraf maine apna sar dekha
tohmatein chand apne zimme dhar chale
jis liye aaye the so hum kar chale
arz-o-sama kahaan teri vus’at ko paa sake
mera hi dil hai wo ke jahaan tu samaa sake
jag mein aa kar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
hum tujh se kis hawas ki falak justujoo karein
dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzoo karein
dard-e-dil ke waaste paida kiya insaan ko
warna taa’at ke liye kuchh kam na the karro-biyaan
saari umr roya kiye hum
haaye kya din the ke hum bhi the