tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
wo qatl karke mujhe har kisi se poochhte hain
yeh kaam kis ne kiya hai yeh kaam kis ka tha
guzar gaya wo zamaana kahen to kis se kahen
khayaal ko mere subah-o-shaam kis ka tha
raha na dil mein wo be aur dard raha
mukaam us ka tha lekin mukaam kis ka tha
wafa karenge nibhaaenge baat maanenge
tumhen bhi yaad hai kuchh yeh kalaam kis ka tha
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera