ko sukoon rooh ko aaraam ho gaya
jab tera mere dil ka naam ho gaya
pehle to chand lamhe the ulfat ke darmiyaan
ab to ye silsila mera har shaam ho gaya
main ne kaha tha ishq na karna kisi se tu
ye dil mera magar na kisi kaam ho gaya
ye zindagi Jigar to mohabbat mein kaT gayi
ye band-e-ishq hi mera anjaam ho gaya
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai