dhalti rahi aur main jaagta raha
har sada par tera hi naam maangta raha
wo na aaye magar yeh yun keh raha
aaj nahin to kal sahi main taakta raha
shamma bujhti rahi parwaane jalte rahe
umeed ki kiran ko main yun palta raha
daagh keh do unhen ab to chale aaiye
umr-e-rafta ka husn yun dhalta raha
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera