Tum mere paas hote ho goya
Jab koi doosra nahin hota
Tum ho har jaa to kyon nahin maujood
Hum jahaan hain wahaan nahin hota
Haal-e- yaar ko likhoon kyonkar
Haath se juda nahin hota
Mar gaye par na laga haath udhar
Yaad tha jo wahaan nahin hota
Aae ho kal jo Momin us ke pas
Aaj kyon kuchh bayaan nahin hota
tum mere paas hote ho goya
jab koi doosra nahin hota
asar us ko zara nahin hota
ranj raahat-fizaa nahin hota
wo jo hum mein tum mein qaraar tha tumhein yaad ho ke na yaad ho
wahi yaani waada nibaah ka tumhein yaad ho ke na yaad ho
ulfat ka jab natija deedaar ho gaya
ab husn-o-ishq dono ka aitbaar ho gaya
mar gaye hum jo ghair ki suni
hijr mein iztiraab kis ko tha
roya karenge aap bhi pehron isi tarah
atka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah