Classical · 1800–1851 · Delhi – Delhi
Momin Khan Momin was a Delhi poet and contemporary of Ghalib and Zauq, renowned for the romantic and personal intensity of his ghazals. A practising physician and astrologer, his couplets — admired even by Ghalib — remain among the most quoted lines of classical Urdu love poetry.
tum mere paas hote ho goya
jab koi doosra nahin hota
asar us ko zara nahin hota
ranj raahat-fizaa nahin hota
wo jo hum mein tum mein qaraar tha tumhein yaad ho ke na yaad ho
wahi yaani waada nibaah ka tumhein yaad ho ke na yaad ho
ulfat ka jab natija deedaar ho gaya
ab husn-o-ishq dono ka aitbaar ho gaya
mar gaye hum jo ghair ki suni
hijr mein iztiraab kis ko tha
roya karenge aap bhi pehron isi tarah
atka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah
umr saari to kati ishq-e-butaan mein momin
aakhiri waqt mein kya khaak musalmaan honge
shab jo masjid mein ja phansa momin
raat kaati khuda khuda kar ke