Asar usko zara nahin hota
Ranj raahat-faza nahin hota
Be-talab de to maza usme hai
Wo jo maangen to maza nahin hota
Tumhaare khat mein naya ek salaam tha
Phir hua kya jo aabna nahin hota
Dard-e- kis se main kahoon ai dost
Koi mehram-e-aashna nahin hota
Momin apni to yeh hai sada
Tujh se behtar koi khuda nahin hota
tum mere paas hote ho goya
jab koi doosra nahin hota
asar us ko zara nahin hota
ranj raahat-fizaa nahin hota
wo jo hum mein tum mein qaraar tha tumhein yaad ho ke na yaad ho
wahi yaani waada nibaah ka tumhein yaad ho ke na yaad ho
ulfat ka jab natija deedaar ho gaya
ab husn-o-ishq dono ka aitbaar ho gaya
mar gaye hum jo ghair ki suni
hijr mein iztiraab kis ko tha
roya karenge aap bhi pehron isi tarah
atka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah